
Let's see how we can work together!
Here are 3 broad ways we can work together. Pick one, and let's go from there.
Let's be a team!
Here are 3 ways you can work with us as an individual.
Let's be a team!
Here are 3 ways you can work with us as an individual.
Sex Ed For TFI Answers
Masturbation (Hindi = hasth-maithun) ek kriya hai jisme insaan apne niji ango ko choone and sehlaane se anaand (pleasure) mehsoos kar sakte hai. Males, yaani purusho mein, masturbation ke ant mein 'orgasm' bhi ho sakta hai, jisme penis (yaani 'ling' jo males ka niji ang hota hai) mein se safed paani nikalkta hai. Iss safed paani ko semen kehte hai.
Masturbation sab umr (age) aur gender ke logo mein hota hai, bachhe aur yuva bhi.
Bas inn cheezo ka dhyaan rakhe:
Masturbation karne se pehle aur baad mein, haath aur penis ko wash kare
Agar semen (safed paani) idhar udhar lag gaya ho jaise table par ya kapdo par, toh usse khud wash kare
Yeh bilkul private mein kare. Yeh ek private activity hai, aur isko public mein karna ek crime hai.
Masturbation karna aur iss kriya ko enjoy karna bilkul normal hai!
Agar bachhe aur yuva masturbation karte hai, woh bhi normal hai.
Iss kriya se koi insaan 'kamzor' nahi ho jaata ya 'sperm' kam nahi ho jayega, aur body ki growth mein bhi koi problem nahi aayegi. Is-se kisi ke penis ko nuksaan nahi hoga.
Aur agar koi masturbation nahi karte (jis bhi kaaran se), woh bhi normal hai.
Bas inn cheezo ka dhyaan rakhe:
Masturbation karne se pehle aur baad mein, haath aur penis ko wash kare
Agar semen (safed paani) idhar udhar lag gaya ho jaise table par ya kapdo par, toh usse khud wash kare
Yeh bilkul private mein kare. Yeh ek private activity hai, aur isko public mein karna ek crime hai
Hum (ya koi bhi) kisi ko nahi bata sakte ki ek din mein ya hafte mein kitni baar masturbation kar sakte hai.
Iska koi ek number nahi hai. Sabka alag hota hai.
Sexual health experts yeh kehte hai ki masturbation karna, kisi bhi maatra mein, normal hai.
Bas iss baat ka dhyaan rakhna hai ki masturbation ki latt na lage (addiction).
Latt lagne ke lakshan hote hai:
Aur kriya aur cheezo mein dhyaan nahi lag paata. Saare waqt masturbation karne ka mann kare
For many days & weeks, masturbation karne ki chah ki wajeh se koi apni din ki normal activities nahi karte jaise doston se milna, school jaana, ghar ka kaam.
Sabse pehle ek trusted adult se share kare. Shayad woh yeh bata paaye ki jo aapko 'addition' lag rahi hai woh actually addiction nahi hai.
Latt lagne ke lakshan hote hai: 1.. Aur kriya aur cheezo mein dhyaan nahi lag paata. Saare waqt masturbation karne ka mann kare
2.. For many days & weeks, masturbation karne ki chah ki wajeh se koi apni din ki normal activities nahi karte jaise doston se milna, school jaana, ghar ka kaam.
Agar addiction hai toh, weh insaan ko koshish karni chahiye ki kuch samay ke liye masturbation bikul chhod de taaki brain ko 'reset' hone ka time mile.
Weh insaan koshish kare ki weh akele na rahe; doston se mile; family ke saath baithe
Masturbation jab karte hai toh brain mein 'dopamine' release hota hai. Dopamine ek aisa natural chemical hai jo insaan ko 'achha' mehsoos karvaata hai. Dopamine aur bhi activies se nikal sakta hai jaise mann-pasand sports khelna, best friends se milna, koi game jeetna. Toh mastubation ki latt ko laat maarne ke liye, ek insaan wohi 'dopamine' kisi aur kriya se haasil kar sakte hai.
aur sabse zaroori,.chinta mat kare. Masturbation ki addiction bahut logo mein hoti hai aur weh addiction ko kaamiyaabi se hata paate hai
NAHI, MASTURBATION SE HAIRFALL NAHI HOTAAfwa kya kehti hai?
Yeh mana jata hai ki semen jab body se nikalta uske saath protein bhi nikal jata hai. Aur kyunki protien baal ke badne mein use hota hai, toh masturbation se baal kam ho jayege.
Sachai kya hai?
Yeh baat sach hai ki semen mein protein hota hai. Par jab semen body se nikalta hai toh usme jo protien nikalta hai woh bahut hi kam amount mein nikalta hai. Is se baalon ke protien ki maatra kam nahi hoti.
NAHI, MASTURBATION SE BODY MEIN DHT KI MAATRA NAHI BHADTIAfwa kya kehti hai? Aisu bhi afwa hai ki masturbation se body mein testosterone badta hai jiski wajha se DHT (Dihydrotestosterone) badta hai. Aur DHT ke badne se hairfall hota hai. Sachai kya hai? Par aisa koi evidence nahi hai ki masturbation se DHT ki matra body mein badti hai. Isliye, masturbation se hairfall nahi hoga. Bas neeche likhi baaton ka humesha yaad rakhein - Masturbation karne se pehle aur baad mein, haath aur penis ko wash kare Agar semen (safed paani) idhar udhar lag gaya ho jaise table par ya kapdo par, toh usse khud wash kare Yeh bilkul private mein kare. Yeh ek private activity hai, aur isko public mein karna ek crime hai
Nightfall aur wet dream hota kya hai?
Nightfall: Sokar uthne pe agar koi ladka / purush apne underwear ko geela paatein hai aur safed paani dekhte hai toh woh semen/ shukranu aur spern/ veerye hota hai. Is-se nocturnal emission ya nightfall kaha jata hai.
Wet dream: Kayi baar ladkon ko ekk 'sexy dreams' ke saath yeh hota hai, tab isse "wet dream" kaha jaata hai. Yeh puberty mein shuru hoke adulthood tak chal sakta hai. Aur yeh bhi normal hai.
Kya yeh normal hai?
Iske baare mein chinta karne ki koi baat nahi hai, yeh normal hai aur yeh bed mein urine (susu) pass karne se alag hai.
Agar nightfall hota hai toh bas ladkon ko apni underwear dhoni chaiye. Aagr bedsheet par kuch gira hai toh usse dhona hai.
Agar isse khujali zyada bhadh jaati hai toh apne hygiene ka dhyaan rakhe ya apne mata ya pita ko bataein ya doctor ke paas jayein.
Isko rokne ka koi tareeka?
Haan hum maante hai ki nightfall hona se maansik stress ho sakta hai. Aur shayad aap chaahe ki yeh ruk jaaye.
Pehli baat toh yeh ki nightfall hona koi kharaabi nahi hai. Yeh dheere dheere kam ho jayega jaise umar bhadegi. Toh internet par aap shayad padho ki yeh khaane se shayad nightfall ruk jaaye, magar yeh sab galat hai. Ispar apna time aur paise mat waste karna.
Agar nightfall aapko bahut zyada tang kar rahe hai, toh sone se pehle aap masturbate kar sakte hai. Is-se nightfall ki sankhya kam ho sakti hai.
Masturbation mein dhyaan rakhe ki
Privacy (akele) mein ho
Haath safe kare karne se pehle aur karne ke baad
Masturbation ko apni zindagi par haavi na hone de, iska matlab ki masturbation ki latt na lage
Raat ko penis erect (sakth) kyun ho jaata hai?
Iske kaaran abhi tak poori tarah doctors nahi bata sakte magar doctors yeh kehte hai ki aisa hona bilkul normal hai. Aur koi ghabraane ki baat nahi hai.
Jaise males apne niji ang (yaani penis) ko chhookar masturbate kar sakte hai, aise hee females aur baaki gender bhi apni khud ke niji ango (clitoris, labia, vagina) ko chhookar masturbate kar sakte hai. Ek insaan jinka sex hai female, unke niji ango (vulva) mein 3 hisse hota hai - clitoris, labia aur vagina. Clitoris ka short form hai 'clit'. Females jab masturbate karte hai toh thoda sa safed paani nikal sakta hai (aur shayad na bhi nikle). Iski maatra boys ke safed paani se kaafi kam hoti hai.